Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone DoMai kHud hi Loat Jaongi Mujhe Nakaam Hone DoAbhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf e ShikastMai Tasleem Karlongi Mujhe Nakaam Hone DoMeri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi SaktiWafayen Bech Lena Par Zara Nelaam Hone DoNaye Aghaz Mai Hai Hosla Kyun Tor Bethe HoTum Sab Kuch Jeet Jaogay Zara Anjam Hone Do
Wednesday, April 17, 2019
Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do
Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas
Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas
Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas
Raza Meri Tum Mat Pocho Meri Kyun Baat Karte Ho
Mera Jeena Mera Marna Meri To Zaat Tum Ho Bas
Mere Lafzon Ne Mujh Ko Hi Hazaron Dard De Daale
Meri Khushiyun Ka Mehvar Tum Mere Adaab Tum Ho Bas
Mai Khud Se Door Hon Kitni Khud Hi Se Bhagti Kyun Hon
Kahin Jana Nahi Mujh Ko Meri Manzil Tum Hi Ho Bas
Agar Tujhko gawara Ho To Mujhse Door Mat Jana
Mere Sare Sawalon Ke jawabon Mai Tum Hi Ho Bas
Qasam Us Zaat Ki Mujh Ko Kabhi Bhoolongi Na Tujhko
Mai Zinda Hon Yahan Jab Tak Waja Jeene Ki Tum Ho Bas
Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas
Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye
Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye
Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye
Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai
Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye
Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye
Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin
Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye
Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye
Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka
Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye
Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye
Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine
Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye
Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye
Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai
Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai
Jo Kal Sirf Mera Tha Aaj Paraya Kyun Hai
Jiske Taksh Ne Jala Diya Mere Jazbon Ko
Wo Anso Meri Ankh Mai Aya Kyun Hai
Mere Andar To Zabt Ka Pahaar Howa Karta Tha
Phir Ye Shikwa Meri Zuban Par Aya Kyun Hai
Jis Ko Mai Bhool Jane Ka Soch Kar Hi Mar Jaon
Usne Khud Ko Na Mera Keh Kar Daraya Kyun Hai
Tu Jo Ishara Kare To Jaan Bhi Hazir Hai
Meri IS baat Ko Hans Kar Usne tala Kyun Hai